User:Rocky nigam
Achal naringrekar inka janam since 30 may 2000 me hua inke pita pese se ek driver ka kaam krte the inki maa ka ek chota sa dukan hai inhone apni padhai Maratha Mandir se Puri ki uske baad inhone apne carrier ko aage badhane ke liye science ke sath jana behtar samjha aur 12th ke baad inhone radiology ka course kiya... pr aaj ham janenge ki aaj ham yaha inki baat kyu kr rhe hai insaan ki jindagi me utaar chadaw ate rehte hai pr Kai log harr mann lete hai to kai log ise sabak samaj kr aage badd jate hai aur is haar na manne wali mansikta ke karan wo log aage badhte hi jaate hai aur apni jindagi me harr mukam ko hasil krte hai aisi hi mansikta ke sath ye paida hui aur hamesha aage badhti rhi hai ye ek achi student bhi hai insaan ko aksar apne karmo ki wajah se hi yaad kiya jata hai aur sahi mayne me inhone koi ache karam kiye honge jo inhe bepanah pyaar krne wale pita mile aaj ke samay kaha jata hai na papa ki pari ye apne papa ki pari hi thi lekin jaise harr insaan ki jindagi me koi dukhad mod ata hai waise hi inki jindagi me bhi ek dukhad mod aya 2017 me ek ganbhir bimari me karan inke pita ki maut ho gai ab gharme koi beta nhi tha sirf ek maa aur do betiya hi thi ab ghar ki jimedari kisi na kisi ko to uthani hi thi isliye apne ghar ka beda uthane ka jimma inhone liya aur ek ladki hone ke bawjud ek bete ki kami puri ki jiss umar me ladkiya sirf ghumne firne ke baare me sochti hai uss umar me inhone apne jimedari ko samjha aur apni padhai ke sath sath apne maa ki madat krne ke liye job bhi krne lagi fir inhe samaj agya ki jindagi ka naam sath pakar chalna nhi balki apne damm pr aage badhna hota hai isliye inhone iss baat ko jada dil pr na lagate huye aage badhane me samjhdari dikhai iss kahani se hame sikh milti hai ki koi bhi hamesha harr samay apke sath nhi reh sakta thokar insaan ko kadam kadam pr lagta hai pr haar na manakar jo aage badhta jata hai badle me jindagi bhi usse sab kuch deti hai kudrat hame baar baar ye sandesh dene ki kosish krti hai ki insaan akele aya hai aur akele hi jayega apne jindagi me huye bure palo ko yaad krke afsos manane ke jagah agar ham khudka hath tham kr aage badhe to koi bhi musibat badi ho ya choti tik nhi payegi isi ka naam jindagi hai