User:Makhdoom Ali Ameen Lodhi
Tell us more about yourself This page is your user page. You are free to change it however and whenever you want. Just remember, it is your face towards the rest of the community and the world. You can always get back here by clicking on your user name at the very top of every page. |
Start editing Every one of Wikipedia's articles has been created by its readers. Click here to learn more about how quickly and easily you can help make Wikipedia better. As we say: Be bold! |
Personalize Wikipedia With your account, you can enhance your reading and editing experience by marking articles to watch as they evolve and adjusting your settings. |
About me
Click here to add an image of yourself (optional). Important information for minors |
Replace this example text with information about you.
Aap Sultan Ibraheem Khan Lodhi King Of Hindustan ki 13th Pusht mein hein aur Apni Shandar aur Azeem Riwayat k Ameen hein Aap aaj iss azeem shahi khandan k Gaddi Nasheen hein Sultan Of Lodhi Sultanate hein Sultan Ibraheem Lodhi King Of Hindustan ki Talwar k waris aur Ameen hein iss wakt mojood Tamam Shahi Khandano mein sy Aap ka rutba aur wakar sub sy bara hy poray Hindustan ki Gaddi Aap k pas hy, Baki Shahi khandano k Jan Nasheen Aap ko apna bara manty hein kiyonkay Aap Sultan Behlol Lodhi, Sultan Sikander Lodhi aur Sultan Ibraheem Lodhi k Jan Nasheen hein jo poray Hindustan k Badshah thy. Aap k Perdada Shehzada Hazrat Makhdoom Sardar Muhammad Hussain Khan Sahib Lodhi Afghan BahawalPur State ky Prime Minister (Wazir-e-Azam) thy, Aap k Dada Huzor Shehzada Khan Bahadur Makhdoom Sardar Muhammad Ameen Khan Sahib Lodhi Police Cheif Of BahawalPur State thy aur Aap ky Walid Shehzada Hazrat Makhdoom Sardar Moin UD Din Khan Sahib Lodhi Punjab Pakistan ky kai Districts mein batoor Cheif Officer,ChairMan aur Aadministrator (Muntazim-e-Aala) rahy.
Shehzada Makhdoom Sardar Ali Ameen Khan Lodhi Afghan Shahu Khail 3 Rajab 1394 Hijri bamutabik 23 July 1974 ko AhmedPur East mein peda howay, Jahan us wakt Aap k Walid Hazrat Shehzada Makhdoom Sardar Moin Ud Din Khan Sahib Lodhi Afghan batour Administrator ( Muntazim -e-Aala ) tainaat thy.
Padaish k wakt Aap perday mein thy aur safaid doodhiya roshni Aap k oper thi, Padaish k wakt Aap roeiy na thy jub Aap k chehray per pani dala gya to Aap muskura diyay thy. Aap ki padaish sy pehlay Aap ki Walida Hazoor Uch Shareef gai thein jahan Hazrat Ali Karam Ullal Wajho ky Paoo Mubarik ka naqsh mojood hy, Eik baar Hazrat Ali Karam Ullah Wajho ko gussa aaya to Hazrat Ali Karam Ullah Wajho ny zoor sy Paoo pather per mara Hazrat Ali Karam Ullah Wajho ki bepanah takat k sabab Paoo pather k under chala gya aur pather mein Paoo ka naqsh chhup gya woh pather Uch Shareef near BahawalPur State Punjab Pakistan mein mojood hy. Wahan Aap ki Walida Muhtarma ny mannat mani k ager mera beta peda ho ga to mein us ka naam "Ali" rakhoongi, chunanchay Aap ki padaish k baad Aap ky Dada Hazoor Shehzada Khan Bahadur Makhdoom Sardar Muhammad Ameen Khan Sahib Lodhi Afghan RehmatUllah Aleh ka naam sath laga ker Aap ka naam "Ali Ameen" rakha gya, Sardar khandani riwayat k toor per Aap k aur Aap k bazurgoo k namoo k sath likha jata hy, Jubkay Sultan Ibraheem Khan Lodhi ( King Of Hindustan ) k betay aur Wali Ahed Shehzada Hazrat Makhdoom Sardar Ali Serwer Khan Sahib Lodhi Afghan Shahu Khail Rehmat Ullah Aleh ki aulad honay k natay Aap aur Aap k bazurg "Makhdoom" aur "Peer Pathan" kehlatay hein. Aap ki pedaish k wakt dushmano ny chund aurtoon ko daaya bana ker bheja aur kaha k ager beti peda ho to chhor dena aur ager beta peda ho to maar dena, lakin un ka yeh raz unhi ky sathiyon ki mukhbari sy pehlay hi khul gya aur yeh sazish nakkam ho gai. Dushmano ki iss sazish ko dekhtay howay Aap ki pedaish k wakt Aap ki Walida Muhtarma k pass siwaeiy Aap ki Nani Huzoor ky koi aur mojood na tha. Aap ki pedaish k baad kuch aurtein phir aein jo yeh keh rahi thi k " Hamara Sardar peda howa hy hum khud inki khidmat aur dekh bhal kareingi". Lakin un oortoon ko hawaili mein dakhil honay ki ijazat na di gai aur unkay behud israr k bawajood unhein wapis bheij diya gya, iss terhan dushmano ki eik aur sazish ALLAH PAK k Fazal O Karam sy nakam ho gai. Eik khas noker Aap ko bagi mein bitha ker sair kerwanay ly jaya kerta tha us wakt Aap ki umer eik ya deidh saal ki thik iss baat ka faida utha ker dushmano ny Shehzada Mumtaz Abbasi jo k Nawab Of BahawaPur k bhatijay thy unhein Aap ko marnay k liyay bheja jub woh Aap k kareeb pohunchay to Aap ko dekh ker un ka khayal badal gya aur woh Aap ko marnay ki bajaeiy Aap ko payar ker k chalay gaeiy. Iss wakiyay ki itilla noker ki zubani mili, baad mein Shehzada Mumtaz Abbasi ny khud bhi iss baat ka eitraf kiya. Iss baat ki tasdeek k baad Aap ki Walida Muhtarma ny apnay chhotay bhai Janab Imtiyaz Ali Sahib ko apnay pass bula liya aur Aap ki nigrani un ky sapurd ki. BahawalpPur mein wakiya Aap ki hawaili k sath Muhtram Janab Syed Gulam Mustafa Shah Sahib ki hawaili thi, Shah Sahib Aap sy buhat payar kertay thy aur Ap ka buhat khayal rakha kertay thy. Aap akser Shah Sahib hi ki hawaili mein rehtay thy aur wahi khela kertay thy. Eik terhan sy bachpun mein Aap ki nigrani aur perwarish Aap k Mamoo Muhtram Janab Imtiyaz Ali Sahib aur Muhtram Janab Syed Gulam Mustafa Shah Sahib aur Shah Sahib k Ahl-e-Khana k hathoon hoi. ALLAH PAK ny Aap k Mamoo aur Shah Sahib aur Shah Sahib k Ahl-e-Khana ko Aap ki nigrani ka zariya banaya. Aap ny ibtidai taleem bhi Shah sahib k ghar hi mein hasil kerna shuro ki Shah Sahib ki hamsheera Aap ko perhaya kerti thein, Iss lehaz sy bhi Aap khush kismat hein k Aap ko Ahl-e-Saddat ki shafqat aur muhabbat muyasir aai.
1979 mein Aap ny Quran Pak ki taleem hasil kerna shuro ki, Aap k walid Shehzada Hazrat Makhdoom Sardar Moin Ud Din Khan Sahib Lodhi Afghan ny Muhtram Janab Hazrat Qari Noor Ul Haq Farooqi Sahib Rehmat Ullah Aleh ko Aap ka ustad mukarar kiya. Qari Sahib Hazrat BahawalPur Rayasat k baray baray Ullma Karam mein sy thy aur Jamea Farooqiya k Muhtimum thy. Aap ny 12 saal tuk Qari Sahib Hazrat sy Quran Pak ki taleem hasil ki.Apny Ustad Muhtram Qari Sahib Hazrat k baray mein Aap khud iss terhan fermatay hein k "Ustad Muhtram mujh sy buhat muhabbat kertay thy , Unhoon ny hamasha mujhay khasosi tawajo di. Qari Sahib Hazrat 1991 mein wafat pa gaeiy, Mein akser Ahed Nama yaad kernay ka sochta tha eik baar mein ny Qari sahib Hazrat ko khawab mein dekha k Qari Sahib Hazrat mujhay eik kaghaz de rahy hein , Iss khawab k baad aglay roz mujhay sirf 2 baar perhnay sy Ahed Nama yaad ho gya."
Deeni taleem k sath sath Aap ny duniyawi taleem ka aghaz bhi 1979 mein kiya, Aap ko Apwa School outside Freed Gate BahawalPur mein dakhil kerwaya gya, Jo ky angrezi School tha aur us wakt Principle Miss Deen thein jo k England sy aai hoi thein baad mein Doctor Masood Sahib ki Begam Mrs Nasira Masood Sahiba Principle bani jo k ab tuk Principle hein. School k baad Aap ko Inter Collage BahawalPur mein dakhil kerwaya gya , Inter Collage baad mein Digree collage bana aur ab Post Graduate collage hy. Iss k baad Aap ny University Of Karachi sy Education Subject mein Masters ki Digree hasil ki Bahawalpur Medical College sy DHMS ki digree hasil ki aur phir Baku Azerbaijan sy Marketing mein MBA ker ky apni taleem mukamal ki.
Rohaniyat aur Sayasat Aap ko wirasat mein mili, Aap ka Khandani Rohani Silsila "Suherwerdiya" "Qadriya" "Chishtiya" hy jub k Hazrat Peer Syed Meher Ali Shah Sahib Gillani Rehmat Ullah Aleh Of Golra Shareef Rawalpindi sy aur Peer Sahib Rehmat Ullah Aleh k khandan sy akidat aur muhabat k bais Aap Silsila "Ghosiya" "Mehriya" mein bhi shamil hein, Hazrat Peer Meher Ali Shah Sahib Rehmal Ullah Aleh aur Aap ky khandan ky dermiyan Akidat aur Muhabbat ka rishta kai pushtoo sy chala aa raha hy, Aap ny Hazrat Peer Syed Meher Ali Shah Sahib Rehmat Ullah Aleh ky Potay Hazrat Peer Syed Moin Ud Din Shah Sahib Gillani Rehmat Ullah Aleh k hath per Bait ki aur bakaida toor per Silsila Ghosiya Mehriya mein shamil howay. Aap k khandan k Mureed Kahror Pakka, Lodhran, Dera Ghazi Khan, Dajul aur BahawalPur mein hazaron ki tadad mein abad hein, Aap k Mureedon k ilawa bhi log Aap sy Dua kerwanay atay hein.
2002 mein Aap ny Umra ki sadat hasil ki Aap k baray betay Shehzada Makhdoom Zada Sardar Noor Ud Din Muhammad Waris Khan Lodhi Afghan jin ki umer us wakt takrebun deidh saal thi woh bhi Aap k sath thy. Umray k doran eik wakiyay ka ziker kertay howay Aap khud iss terhan fermatay hein k " Jub Hajr-e-Aswad ko bosa denay ka wakt aaya to Khana Kaba k pass logon ka buhat rush tha logon ki iss kader bheer thi k log eik dosray k oper churh rahy thy yeh sub dekh ker mujhay khayal aaya k " ALLAH PAK shayed mein Hajr-e-Aswad ko bosa na dy sakoonga itni bheer mein kesay mumkin ho sakayga ALLAH PAK meri madad ferma Aaaamiiiin " , iss khayal aur Dua ky forun baad mujhay esa laga jesay koi mujhay uss bheer sy alag ker ky Hajr-e-Aswad tuk ly gya log usi terhan eik dosray per churh rahy thy bosa denay ki koshish mein, Lakin mein ny araam sy na sirf bosa diya bulkay kuch deir apna chehra Hajr-e-Aswad k under rakha aur jo log meray sath thy unhein bhi bosa kerwaya shuker hy ALLAH PAK KADIR O MUKTADIR ka ".
29 Ramzan Ul Mubarik 2002 ki raat ko Aap ko pehli baar ALLAH PAK ky fazal o Karam sy SyedUlMursaleen KhatiminNabiyeen Habib ALLAH Hazrat Muhammad Sallallahu Alehy WaAlehi Wasalam ki zayarat naseeb hoi. Aap ko do baar ALLAH PAK Rehman o Raheem k fazal o karam sy SyedUlMursaleen KhatimunNabiyeen Habib ALLAH Hazrat Muhammad Sallallahu Alehy WaAlehi Wasalm ki aur eik baar Hazrat Ali Karam Ullah Wajho ki zayarat naseeb hoi. MASHAALLAH ALHUMDULILLAH.
Shehzada Makhdoom Sardar Ali Ameen Khan Sahib Lodhi Afghan Shahu Khail, Sabik Minister Of Healt Syed Tasneem Nawaz Gerdazi aur Prime Minister Of Pakistan Makhdoom Syed Yosuf Raza Gillani k rishtay mein Mamoo lugtay hein jubkay Sabik Minister Of Exsise&Texetion aur Sabik District Nazim Of Raheem Yar Khan Makhdoom Syed Ahmad Mehmood aur Advisor Of Cheif Minister Punjab Pakistan Makhdoom Syed Ali Akber Mehmood k walid Makhdoom Syed Hassan Mehmood jo k BahawalPur State k Prime Minister rahy Aap k Phuphi Zad bhai hein aur Peer of Pagara Shareef Syed Mardan Ali Shah jo k Peer Pagara Sahib k naam sy janay jaty hein rishtay mein Aap k behnoi lugtay hein.
Shehzada Makhdoom Sardar Ali Ameen Khan Sahib Lodhi Afghan ky 3 betay hein baray betay Shehzada Makhdoom Zada Sardar Noor Ud Din Muhammad Waris Khan Lodhi Afghan hein Inhein payar sy Sardar Bakht Khan kaha jata hy dosray betay Shehzada Makhdoom Zada Sardar Moin Ud Din Muhammad Ali Khan Lodhi Afghan hein inhein payar sy Sardar Murad Khan kaha jata hy aur chhotay betay Shehzada Makhdoom Zada Sardar Jalal Ud Din Muhammad Qavi Khan Lodhi Afghan hein inhein payar sy Sardar Rustam Ali Khan kehtay hein. Yeh teeno Afghan Sardar bhi baray ho ker Apnay Bazurgoon k naqsh-e-kadam per chultay howay Apnay Bazurgoon ki azeem riwayat ko berkrar rakhtay howay Apnay Mulk Aur Koom ki khidmat kareingy aur Apnay mulk o koom ki izzat aur shaan mein izafay ka zariya baneingy INSHAALLAH.