User:Drahmadalibarqiazmi~enwiki
Hai "Science " Qudrat ki anmol neamat
Hai "Science " Qudrat ki Anmol Neamat Badal dee hai jis ne zamane ki soorat Jahan mein har eejad ki maa yahee hai Hai sab se badi waqt ki yeh zaroorat Isi ki har ek shai hai marhoon e minnat Muyassar hai sab kuchh isi ki badaulat Yeh bijli bhi science ka hai krishmah Taraqqi ki jo aajkal hai zamanat Kiya balb eejad "Edison" ne jab se Jahan ho gaya hai bahut khoobsoorat Har ek gaon aur shahr hai is se raushan Hai dar asl Qudrat ki yeh ek neamat Na ho ghar mein bijli to Kuchh bhi nahin hai Yeh hai zindagi mein khushi ki elaamat Yeh pankhe yeh cooler yeh geyser yeh AC Sabhi ke liye aaj hai iski haajat Yeh science hi ka hai anmol tuhfa Sabhi ke liye hai jo wajh e saadat Hai wabatah is se har ek technology Taraqqi ki dar asl hai yeh elaamat Yeh hai khidmat e khalq ka ek wasilah Jinhein haq ne bakhshi hai fahm o farasat Banate hain science ko apna shewah Mitaye jo naam o nishan e jehalat Hai unke liye aaj yeh dars e ibrat Banate hain is se jo samaan e ghaarat Nahin zeb deta yeh nau e bashar ko Ho aqwam e aalam ki is se helakat Yahi hai har ek shakhs ki aj khwahish rahe jazbah e khair khwahe salaamat Nahin is mein takhsis chote bade ki Sabhi ko hai Ahmad Ali is ki chahat
Munhasir Hai Aaj Internet Peh Duniya ka Nizam
Munhasir hai aaj Internet peh duniya ka nizam Ashhab e dauran ki hai ab iske hathon mein lagam "World Wide Web" mein hai mumtaz "Google.Com" Istefadad kar rahe hain aaj jis se khas o aam Sab sawalon ka tasalli bakhsh deti hai jawab Is liye mashhoor hai sare jahan mein iska naam Hain "Rediffmail" aur "Yahoo" bhi nehayat Kargar Jari o sari hai unka bhi sabhi par faiz e aam Hain wasilah rabte ka yeh sabhi "Websiteein" Kar rahi hain khidmat e khalq e khuda jo subh o sham Faslah kuchh bhi nahin hai aaj qurb o bod mein Chand lamhon mein kahin bhi bhej sakte hain payam Form bharna ho koi ya book karana ho ticket Aaj "Internet" se hai maqool iska intezam Har jagah hai " On Line" yeh sahoolat Dastyab "Bank" ho "School" ho ya "Railway" ka "platform" "Radio"," Akhbaar", "TV", "Media"Ahle Nazar Istefadah kar rahe hain aaj is se sab mudam Hai muaavin aaj yeh "Science" ki tahqeeq mein "Technology" main bhi is se le rahe hain log kaam Qafelah tahqeeq ka jab tak rahega gamzan Kaam aayega musalsal iska husn e intezam Hain yeh "Website"Zaroorat waqt ki "Ahmad Ali" Is liye ahl e nazar karte hain inka ehtemam
Jidhar Dekho Udhar Aalodgi hai
Jidhar dekho udhar aaloodgi hai Sabhi par aaj taari behisi hai Kasafat ab shaar e zindagi hai Numayan har taraf pazhmurdagi hai fiza aaloodgi se paak rakhiye Agar darkaar husn e zindagi hai Na hoga cancer lahaq kisi ko Sabhi bimariyon ki ma yahi hai Sabhi kuchh munhasir mahaul par hai Agar mahaul mein pakeezgi hai Taro tazah rahega zehn is se Sukoon e qalb ka zamin yahi hai Neshat o kaif se sarshar hoga Isi se zehn mein balidgi hai Gulon mein rang o boo qayam hai is se Shaguftah aaj isi se kar kali hai Nahin hai is se behtar kuchh bhi Ahmad Yahi apni mata e zindagi hai
Ekkisavin Sadi hai science ka Zamanah
"INSAT-4B hai "ISRO" ka karnamah Jo Hind ne kiya hai su e falak rawanah Sciencedan hamare ab kam nahin kisi se Sab muttafiq haein is par hai motarif zamanah Hr shakhs ki zuban par hai aaj "GSLV" Hai aaj ek haqeeqat kal tak jo tha fasanah Behad mufeed hoga system mein "DTH" ke Sab ke liye yah hoga Tafreeh ka bahanah Ab hosake gi is se tauseeye 'Doordarshan' Logon ki ab khushi ka koi nahin thikanah Aayega jald hi wah din bhi fazl e Rab se Jab 'Chanderyaan hoga su e falak rawanah Ab ud rahe hain har soo setlite aasman par Ekkisavin sadi hai 'science' ka zamanah Kah do ki jag jayein ghaflat mein sone wale Unke liye yeh din hai ibrat ka taziyanah 'Tareekhsaz' din hai yeh barah march Barqi Kyon ham na ab manayein ek jashn e fatehanah
Kijiye Aaloodgi ka sadde bab Kijiye aaloodgi ka saddebab Nau e insan ke liye hai yeh azab Hai agar darkar hifzan e sehat Kijiye is se hamesha ijtenaab Jaan ka janjal hai aaloodgi Haein muzir asrat is ke behisab Karkhanon ki muzir gaison se aaj Jisko dekho kha raha hai pech o tab Har taraf hai corbon hi corbon Oxigen ka tawazun hai kharab Ghut raha hai dam mukaddar hai fiza Zindagi mein kuchh nahin hai aab o tab Hai floride ka paani mein asar Jis se hai logon mein behad izterab Jhuk gayee fart e naqahat se kamar Is se hai darkar chutkara shetab Hai pareeshanhaal har chota bada Ab bade shahron mein jeena hai azab Neend ki goli bhi ab hai be asar Ud gaya hai aajkal aankhon se khawab Shakl mein aaloodgi ki aajkal Hai musallat ham pe fitrat ka azab Anginit darpesh haien aise sawal Jinka milna hai abhi baqi jawab Mukhtasar hai zindagi ka yeh safar Jo bhi krna hai hamein kar lein shetab Har kisi ke zehn mein hai yeh sawal Aaj kyon mahaul hai itna kharab Hai Zaroorat waqt ki Ahmad Ali Sab karein mil jul ke iska ehtesab
Zad Mein Aaloodgi ki Hain peer o Jawan Garm se garmtar ho raha hai jahan
Bhag kar koi jaaye to jaaye kahan
Har traf gadiyan hain rawan aur dawan
Zad mein aaloodgi ki hain peer o jawan
Shahr mein is qadar hai mokaddar fiza
Har taraf jaise chhaya hua ho dhuwan
Gaon ki zindagi thi bahut khushnuma
Ab wahan bhi hain aaloodgi ke nishan
Aajkal sath e o zone khatre mein hai
Hain yeh insaan ki kaar farmaiyan
Koi mahfooz aaloodgi se nahin
Nit nai jis se lahaq hain bimariyan
Hai sunami kahin aur kahin zalzala
Hai "Science " Qudrat ki Anmol Neamat
Hai "Science " Qudrat ki anmol neamat Badal dee hai jis ne zamane ki soorat Jahan mein har eejad ki maa yahee hai Hai sab se badi waqt ki yeh zaroorat Isi ki har ek shai hai marhoon e minnat Muyassar hai sab kuchh isi ki badaulat Yeh bijli bhi science ka hai krishmah Taraqqi ki jo aajkal hai zamanat Kiya balb eejad "Edison" ne jab se Jahan ho gaya hai bahut khoobsoorat Har ek gaon aur shahr hai is se raushan Hai dar asl Qudrat ki yeh ek neamat Na ho ghar mein bijli to Kuchh bhi nahin hai Yeh hai zindagi mein khushi ki elaamat Yeh pankhe yeh cooler yeh geyser yeh AC Sabhi ke liye aaj hai iski haajat Yeh science hi ka hai anmol tuhfa Sabhi ke liye hai jo wajh e saadat Hai wabatah is se har ek technology Taraqqi ki dar asl hai yeh elaamat Yeh hai khidmat e khalq ka ek wasilah Jinhein haq ne bakhshi hai fahm o farasat Banate hain science ko apna shewah Mitaye jo naam o nishan e jehalat Hai unke liye aaj yeh dars e ibrat Banate hain is se jo samaan e ghaarat Nahin zeb deta yeh nau e bashar ko Ho aqwam e aalam ki is se helakat Yahi hai har ek shakhs ki aj khwahish rahe jazbah e khair khwahe salaamat Nahin is mein takhsis chote bade ki Sabhi ko hai Ahmad Ali is ki chahat
Thee Maheenon Tak Feza Mein Suunita William Makeen
Munfarid hai sab risalon se yeh Urdu magazine Kartee hai hamwar jo ilmi Tanazur ki zameen Jin mein hai zauq e tajassus aur asri aagahee Karte hain science se wah istefadah behtareen Zidagi ka koi bhi shobah nahin is se alag Hai yahee har kaargaah e technology ki masheen Sari duniya mein hai iska aajkal baazar garm Jiski eejadat se hai yeh jahan behad haseen Kaarwan tahqeeq ka hai is se sargarm e amal Har taraf jis ka ayan hai ek naqsh e dilnasheen Radio aur Television hain isi ka shahkaar Hote haien mahzooz jis se samaeen o nazreen Har taraf hai jis se barpa ek zehni inqelaab Aaj computer hai iska ek namoonah behtareen Faslah koi nahin hai aaj qurb o bod mein Dastaras mein ab hai mirrikh o qamar ki sarzameen Katre hain ahl e zamin sham o sahar space walk Thee maheenon tak khala mein "Suunita William "makeen Azm e raasikh ho agar to ham kisi se kam nahin Koi maane yaa na maane hai mujhe iska yaqeen Ham bhi ho sakte hain maidan e amal mein surkhroo Hain hamare naujawan Ahmad Ali behad zeheen
Sunita William Ka Safar Science ka Hai Mojzah
Sunita William ke Khalayee tajrabe ka marhalah Aur phir "NASA" se uska ek musalsal rabtah Asr e haazir mein hai yah science ka auj e kamaal Muddaton karte raheinge log jiska tazkerah Kuchh bhi namumkin nahin hai azm e rasikh ho agar dars e ibrat hai hamare waste yeh waqeah Jin mein hai zauq e tajassus aur asri aagahee Unka hai sham o sahar tahqeeq fitri mashghalah Nau December ko rawanah wah huee su e falak Layaq e tahsin hai yeh azm e safar yeh hausalah Thi feza mein nau maheene tak wah sargarm e amal Karnamah us ka yeh hai aaj tak besabqah Ek zarrin bab hai tareekh ka teees(23) June Kamyabi se hua takmeel jab yeh marhalah Honge fitrat ke bahut se raaz hampar munkashif Ahl e danish jab kareinge iska ilmi tajziyah Aagaya Atlantis lekar khalabazon ko saath Ab milega un ko unki kamyabi ka silah Ahd e haazir mein hai ab science behad soodmand Aaiye mil jul ke ham bhi yeh karein ab faisalah Ham bhi apnayeinge isko ahl e maghrib ki tarah Ruk nahin sakta kabhi tahqeeq ka yeh silsilah Ahl e mashriq ilmo danaish mein kisi se kam nahin Kamyabi se kiya "Sunita" ne tai har marhalah Dar haqeeqat hai yeh Barqi ek mission tareekhsaz "Sunita William"ka safar science ka hai mojzah
Hai Aaloodgi baaise haadsaat
Manaate hain ham yaum e mahauliyat Mile takeh aaloodgi se najaat Nahin hai koi chiz is se muzir Khtar mein haiis se nizam e hayat Koi shahr mein ho keh dehat mein Hain darpesh har shakhs ko mushkilat Hui Union Carbide se jo Nahin log bhooleinge wah wrdat Hawadis ka jari hai ek silsilah Hain tarikh mein sabt yeh sanehat Bahut khoob hai sanati peshraft Hai aaloodah is se magar shash jehat Sehatmand mahaul hoga jabhi Ho aaloodah shahron ki jaldi shenakht Isi mein hai har shakhs ki behtari Ksafat se mahfooz ho kaynaat Feza din badin ho rahi hai kseef Pareeshaan hai har shakhs din ho keh raat Kayoto peh jab tak na hoga amal Jahan se nahin honge kam sanehaat Hain haalaat had darjah tashveeshnaak Tabaahi ki zad mein hain ab jangalaat Hai mausam pe jis ka numayaan asar Nahin hai kisi chiz ko bhi sabaat Sabhi chahte hain yeh Ahmad Ali Mile unko aaloodgi se najaat
Aaj Hai Information Technology Ki Bahar
Aaj hai "Information Technology " ki bahaar Koi " Google" par fida hai koi "Yahoo" par nisar Aaj hai science par har chiz ka dar o madar Ab nai qadron pe hai ahl e jahan ka etebar Ab nahin kuchh farq qurb o bod mein e mail se Log aakhir kyon karein ab namah bar ka intezar Zindagi ka koi bhi shoba nahin is se alag Aaj computer pe hai sare jahan ka inhesar Ho fazai technology ya nizam e kainaat Karte hain maaloom is se grdishe lail o nahar Jante hain log is se kya hai mausam ka mizaj Kyon fiza mein ud rahe hain har taraf gard o ghubar Is ka hai marhoon e minnat aaj sara media jitne setllite hain sab ka hai isi par inhisaar Hai sabhi settliton ka is se paiham rabtah World wide web se hai yah har kisi par aashkaar Asr e haazir mein naheen is se kisi ko hai mafar Padti hai is ki zaroorat har kisi ko baar baar "IT" ko aap bhi apnaiye Ahmad Ali Aaj hai is ke liye mahaul behad saazgar
Information Technology
Hind tha har daur mein gahwarah e ilm o hunar Is liye yeh sarzamin thi marjah e ahl e nazar Tha darakhshan is ka mazi haal bhi hai tabnak Hoga mustaqbil bhi rashan kah rahe hain didah war Qafila tahqiq ka hai su e manzil gamzan Kuchh bhi namumkin nahin hai ho agar azm e safar Aaj computer ko hasil hai kalidi haisiyat Hai yeh asri aagahi ka ek wasilah kargar Hain sar e fihrist wipro aur Satyam aajkal Nam hai unka jahan e ilm o fan mein motabar Premji ne IT mein kar ke barpa inqilab Hind ko sare jhan mein kar diya hai namvar Hai yeh sab information technology ka kamal Log gird o pesh ke halat se hain bakhabar Mulk ki taamir e nau mein hain jo sargarm e amal Rahnumai kar rahi hai unki yeh sham o sahar Hai muheet aadhi sadi par is ki ilmi peshraft Hai sabaq aamuz is ki kamyabi ka safar Istefadah kar rahe hain aaj is se khas o aam Aaj yeh raah e traqqi mein hai sab ka hamsafar Log har shobe mein is se ho rahe hain faizyab Asr e haazir main hai yeh nakhl e saadat ka samar World wide web ka phaila har taraf hai ek jaal Teztar e mail se koi nahin hai namah bar Ham fazaee technology mein kisi se kam nahin Deta hai "INSAT" ham ko saare aalam ki khabar Aajkal hai call center se sabhi ka raabtah Is se paiham muttasil hain kargah e bahr o bar Algharaz har chiz hai ab "IT" se munsalik koi shai aisi nahin hai jis ko ho is se mafar Munhasir hai IT par aaj saara media Is ki tadreeje taraqqi ka na hoga band dar Aaiye Ahmad Ali Barqi karein tajdid e ahd Tai kareinge ham musalsal kamyabi ka safar
Hai Aaloodgi Nau e Insan ki Dushman
Slow poison hai fiza mein pollution Har ek shakhs par yeh haqeeqat hai roshan yunhi log be maut marte rahenge Nah hoga agar jald iska solution Bade shar hai zad meinaaloodgi ki Jo hassas hain unko hai is se uljhan Fiza mein hain tahleel masmoom gaisein hai mahdood mahaul mein oxigen Jidhar dekhiye carbon ke asar se hai mail bah pazhmurdagi sahn e gulshan Kisi ko dama hi kisi ko illergy mokaddar hava se kisi ko hai tension Jawanon ke aasaab par hai nqahat Buzurgon ki ab zindagi hai ajiran Kahan jayein ham bach ke aaloodgi se Kahin bhi nahin chain gulshan ho ya ban Kai 'Union Corbide hain ab bhi Jo dar pardah hain nau e insan ke dushman Shab o rooz aaloodgi badh rahi hai Hain nadiyan sarasar ksafat ka makhzan Jahan garm se garm tar ho raha hai Na ho jaye nau e bashar iska eindhan Hai 'O Zone' bhi zad mein aaloodgi ki jo hai kurra e arz par sayah afgan Jo bharte hain dam rahbari ka jahan ki Woh rahbar nahin dar haqeeqat hain rahzan Kayoto se karte hain khud chashm poshi Lagane chale dosron par hain qadghan Banate hain khud Atomi aslahe woh Samajhte hain khud ko magar pakdaman Tsunami hai unke liye dars e ibrat Dikhane chale hain jo fitrat ko darpan Salamat ravi ka taqazah yahi hai Chudayein sabhi is musibat se daman Hai ' Ahmad Ali 'waqt ki yeh zaroorat Baharhaal ab sab pe naafiz ho qadghan